Pages

Monday, November 12, 2012

DASTANE LOVE-11




Ankh Bhar Aayi Hai

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai,
Kehte Hai Log IshQ Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai,
Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai,
Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,
Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,
Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,
Usse TaaluQ Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai.

Usse Puchhun?

Kabhi Shikaston Ke Dukh Uthe To Usse Puchhun
Wo Meri Manind Toot Jaye To Usse Puchhun
Use Bhi Koi Sitara Manzil Se Door Kar De
Use Bhi Rasta Nazar Na Aaye To Usse Puchhun
Safar Mein Wo Bhi Kisi Kade Imtehaan Se Guzre
Use Bhi Yun Kio Aazmaye To Usse Puchhun
Use Mohabbat Mein Kaunsa Dukh Diya Hai Maine
Kabhi Nazar Se Nazar Milaye To Usse Puchhun
Meri Tarah Din Chadhe Tak Wo Bhi Soye
Use Bhi Shab Bhar Na Neend Aaye To Usse Puchhun

Mere Zakhm

Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne
Apni Aankhonse Bhi Main Zakhm Chhupaun Apne
Main To Qaem Hoon Tere Gam Ki Badaulat Warna
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne
Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka Diya
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne
Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne

Main Subah Tak Roya

Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya
Tu Na Roya Koi Parwah Nahi
Chaak Garebaan Pe Har AashiQ Roya
Jo Haseeno Se Pyaar Karta Ho
Aise Royega Jaise Main Roya
Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo
Ye To main hu Jo Subah Tak Roya

Hum Raaton Ko Uth Uth Ke Jin Ke Liye Rote Hain 

hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain 
vo ghair ki baahon mein aaraam se sote hain
hum ashq judai ke girne hi nahin dete 
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein 
sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain
andaz-e-sitam unka dekhe to koi samjhe 
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
Dhoop Ke Saath Gaya Saath Nibhane Wala

dhoop ke saath gaya saath nibhane wala
ab kahan ayega vo laut ke aanewala
ret par chhod gaya naqsh hazaaron apne
kisi paagal ki tarah naqsh mitane wala
sabz shaakhen kabhi aise to nahin chiikhti hain
kaun aaya hai parminderndon ko darane wala
aariz-e-shaam ki surkhi ne kiya faash use
parda-e-abr mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere saath raho
dasht purhaul hai toofan hai aanewala
mujhko dar parda sunata raha qissa apna
agle vaqton ki hikayaat sunane wala
shabnami ghaas ghane phool larazti kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutane wala
ab to aaraam karein sochti aankhein meri
raat ka aakhri tara bhi hai jane wala

Ghurub-e-shaam Hi Se Khud Ko Yuun Mahsuus Karta Huun

ghurub-e-shaam hi se khud ko yuun mahsuus karta huun
ki jaise ik diya huun aur hava ki zad pe rakha huun
chamakti dhoop tum apne hi daaman mein na bhar lena
main sari raat pedon ki tarah baarish mein bhiga huun
koi toota hua rishta na daaman se ulajh jaye
tumhare saath pahli baar baazaron mein nikla huun
ye kis aavaaz ka bosa mere honthon pe kaanpa hai
main pichhli shab sadaaon ki halavat bhool baitha huun
bichhad ke tumse maine bhi koi sathi nahin dhundha
hujuum-e-rahguzar mein door tak dekho akela huun

Ab To Ghabra Ke Ye Kahte Hain Ke Mar Jayenge

ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jayenge 
mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
tum ne thahrai agar ghair ke ghar jaane ki 
to irade yahaan kuchh aur thahar jayenge
hum nahin vo jo karein khoon ka dava tujh par 
balki poochega khuda bhi to mukar jayenge
aag dozakh ki bhi ho jayegi pani pani 
jab ye aasi arq-e-sharm se tar jayenge 
shola-e-aah ko bijli ki tarah chamkaun 
par mujhe dar hai, ki vo dekh ke dar jayenge
laaye jo mast hain turbat pe gulabi aankhein 
aur agar kuchh nahin, do phool to dhar jayenge
nahin payega nishan koi hamara hargiz 
hum jahan se ravish-e-tiir-e-nazar jayenge
pahunchenge rahguzar-e-yaar talak hum kyunkar 
pahle jab tak na do aalam se guzar jayenge

Jo Dil Ne Kahi Lab Pe Kahan Aai Hai Dekho

jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
ab mehfil-e-yaaran mein bhi tanhai hai dekho
phuulon se hava bhi kabhi ghabrai hai dekho
ghunchon se bhi shabnam kabhi katrai hai dekho
ab zauq-e-talab vajh-e-junoon thair gaya hai
aur arz-e-vafa baais-e-rusvai hai dekho
gham apne hi ashkon ka kharidaar hua hai
dil apni hi haalat ka tamashai hai dekho

Tumhein Bhool Jaaun Ye Hota Nahin

tumhein bhool jaaun ye hota nahin
koi vaqt ho dard sota nahin
na ho jao badnaam tum is liye
main ro ro ke daman bhigota nahiin
ye vo fasl hai jo uge khud-ba-khud
koi dard ke beej bota nahin
ye maana ke toofan ka zor hai
main ghabra ke kashti dubota nahin
Pyaar Ke Ujale

pyaar ke ujale me gum ka andhera aata kyun hai
jise hum chahe wahi humien rulaate kyun hai
agar wo mera nasib nahi
to khuda aise logo se milata kyun hai
                                                         
                                                        Kaise Kaise Haadse Sehte Rahe

kaise kaise haadse sehte rahe 
ham yunhi jite rahe hanste rahe
uske aa jaane ki ummidein liye 
raasta mud mud ke ham takte rahe
vaqt to guzra magar kuchh is tarah 
ham charaaghon ki tarah jalte rahe
kitne chehre the hamare aas-paas 
tum hi tum dil mein magar baste rahe

Mera Khamosh Rehkar Bhi

mera khamosh rehkar bhi unhen sab kuch suna dena 
zabaan se kuch na kehna dekh kar aansu baha dena
nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thehra 
ki do tinke jahaan par dekhna bijli gira dena
ijaazat ho to keh duun qissa-e-ulfat sar-e-mehfil 
mujhe kuch to fasaana yaad hai kuch tum suna dena
main mujrim huun mujhe iqraar hai jurm-e-mohabbat ka
magar pehle khata par ghaur kar lo phir saza dena
main is haalat mein pahuncha hasharwale pukaar uthe 
koi faryaad karne aa raha hai raasta dena

Humsafar Hota Koi To Baant Lete Duriyan

humsafar hota koi to baant lete duriyan 
raah chalte log kyaa samjhen meri majburiyaan
muskurate khwaab chunti gungunati ye nazar 
kis tarah samjhe meri qismat ki namanzuriyan
haadson ki bheed hai chalta hua ye kaarvaan 
zindagi ka naam hai laachariyaan majburiyaan
phir kisi ne aaj chheda zikr-e-manzil is tarah 
dil ke daaman se lipatne aa gai hain duuriyaan

Ik Na Ik Shamma Andhere Mein Jalaaye Rakhiye 

ik na ik shamma andhere mein jalaaye rakhiye 
subh hone ko hai maahaul banaaye rakhiye
jin ke haathon se hamein zakhm-e-nihaan pahunche hain 
vo bhi kahate hain ki zakhmon ko chhupaye rakhiye
kaun jaane ki vo kis raah-guzar se guzare 
har guzar-gaah ko phuulon se sajaye rakhiye
daaman-e-yaar ki zeenat na bane har aansu 
apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
                                                  Kisi Ko Humse Hai

Kisiko Humse Hai Chand Shikwe
Kisiko Behad Shikayatein Hai
Hamare Hisse Mein Sirf Apni
Safaiyaan Hai, Wazahatein Hai
Qadam Qadam Par Bada Rahe Hai
Musafiron Ki Talab Ke Raste
Hawaon Jaisi Mohabbatein Hai
Sadiyon Jaisi RafaQatein Hai
Magar Kisine Ye Haq Na Maana
Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hai

Jab Dil Jale To

Har Bezubaan Ko Shola Nava Keh Liya Karo
Yaaron Sukoot Hi To Sada Keh Liya Karo
Khud Ko Fareb Do Ki Na Ho Talkh Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-E-Wafa Keh Liya Karo
Insaan Ka Agar Qad-O-Qaamat Na Badh Sake
Tum Isko NuQs-E-Aab-O-Hawa Keh Liya Karo
Apne Liye Ab Ek Hi Raah-E-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Raza-E-Khuda Keh Liya Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-E-Ziyaa
Jab Dil Jale To Usko Diya Keh Liya Karo

Uska Sitam

Kiya Hai Pyaar Jise Humne Zindagi Ki Tarah
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah
Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chhod Diya
Wo Kar Raha Tha Muravvat Bhi Dillagi Ki Tarah
Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Taareeki
Chhupega Wo Bhi Kisi Badli Mein Chaandni Ki Tarah
Kabhi Na Socha Tha Humne Uske Liye
Karega Humpe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah



Bichhadte Lamhe

Bichhadte Lamhe To Khush The Phir Ab Ye Malal Kaise,
Main Kyon Bataun Ke Kiye Hosle Bahaal Kaise,
Kaha Tha Kuch Bhi Na Puchhoge Gar Mile Jo Kabhi,
Ab Mile Ho To Phir Aankhon Mein Ye Sawal Kaise,
Sang Baari Ki Ibtedah Bhi To Tum Hi Ne Ki Thi,
Jo Lahoolahan Hoon To Aankhon Mein Dukh Ke Jaal Kaise,
Diyaar-E-Gair Mein Kya Tumne Ye Bhi Socha Hai Kabhi,
Guzare Honge Kisine Apne Maah-O-Saal Kaise,
Tumhari Yaad Ne To Shayar Hi Bana Diya Hai Mujhe,
Bichhad Ke Tumse Hue Humse Ye Kamaal Kaise.

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi

Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi,
Itne Hisso Mein Bat Gayi Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,
Sach Ghate Ya Badhe To Sach Na Rahe,
Jhooth Ki Koi Inteha Hi Nahi,
Tol Do Chaandi Mein Chaahe Sone Mein,
Aayina Jhuth Bolta Hi Nahi.
Tera Khwaab Palkon Pe Apni Saja Kar

Tera khwaab palkon pe apni saja kar
kabhi dekhen tujhko bhi apna bana kar
bana kar ke tasveer ashkon se teri
bharein rang usmein lahoo hum baha kar
na tumse gila hai, na shikwa jahan se
wo unka muqaddar, ye mera muqaddar
nazar aa gaye hum kisi bazm mein to
nikal jana mehfil se nazren chura kar
samundar ye kehne laga aa ke mujhse
ik ehsaan kar dete pani pila kar
kahun kya ke kaise jala ye nasheman
wo meetha sa bole zara muskura kar

Uski Berukhi

Uski Berukhi Ka Malal To Raha
Kuchh Pal Ka Sahi Wisl To Raha
Samne Na Raha Dil Mein To Raha
Use Hamara Itna Khayal To Raha
Chot Lagane Aata Raha Laut Kar
Usse Rabita Bahal To Raha
Kya Thi Mohabbat Khata Hamari,
Dilse Yehi Sawal To Raha
Pehle Dilko Phir Jaan Ko Laga,
Rog Lagane Ka Kamal To Raha.

Umr Bhar Ka Rona

Unka Humse Milna Pal Do Pal Ka Hasna,
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona,
Unka Hamein Gale Lagana Aur Phir Kehna Ho Jaye Ab Juda,
Unka Hasna Unki Baatein Kyon Is Jahan se Juda?
Unka Hamein Betabi Se Milna Aur Phir Muskurana,
Unka Har Baar Mein Gazab Karna Aur Hamara Bas Unpe Mar Jana,
Unka Humse Baatein Karna Aur Apna HaQ Jatana,
Unka Hamein Khilona Samajhkar Har Baar Tod Jana,
Apne Dilko Yun Samjhana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Waada Kiya Tha Nibhana Tha, Hum Intezaar Karte Rahe,
Apni Khalish Mitane Ke Liye Jazbaat Hamare Tadpa Gaye,
Unki Khatir Muskurana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unhone Kiya Haal-E-Dil Bayan, Hazar Zakhm Mehek Uthe,
Unko Haal-E-Dil Sunana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unka Humse Milna Pal Do Palka Hasna
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona.

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

badan mein aag si chehra gulaab jaisa hai 
ke zeher-e-gham ka nasha bhi sharaab jaisa hai
kahaaan vo qurb ke ab to ye haal hai jaise 
tere firaaq ka aalam bhi khwaab jaisa hai
magar kabhi koi dekhe koi padhe to sahi 
dil aaina hai to chehra kitaab jaisa hai
vo samne hai magar tishnagi nahin jaati 
ye kya sitam hai ke dariya saraab jaisa hai

Tumse Na Shikwa Koi

Tumse Na Shikwa Koi
Sirf Hai Itna Sa Ghum
Dekha Bas Chehra Mera
Dil Nahi Dekha Sanam
Yaad Ayenge Sada saath Guzare Saare Pal
Sochunga Jab Jab Tumhe, Aansu Jayenge Nikal
PAANI KISME ZYADA HAI

WO EK LADKI
BAHUT KHAMOSH REHTI THI
KISI SE KUCHH NA KEHTI THI
WO JAB BHI MUSKURATI THI
BAHAREN AA SI JAATI THI
USKI EK PAL KI UDAASI SE 
KHIZAYEN AANE LAGTI THI
YUN MEHSUS HOTA THA
KE JAISE HAR EK MAUSAM
USKE ISHARE KI TAAK ME HO
MAGAR EK DIN
MERE BAS ITNA KEHNE PAR
"HUM AB MIL NA PAYENGE"
WO ITNA TOOT KAR ROYEE
KE SAMANDAR SOCHTA HOGA
USKI AANKHON ME YA MUJHME
PAANI KISME JYADA HAI

Yun Teri Rehguzar Se Diwanavaar Guzare 

yun teri rehguzar se diwaanavaar guzare 
kaandhe pe apne rakh ke apna mazaar guzare 
baithe rahe hain raste mein dil ka Khandhar saja ke
shaayad isi taraf se ek din bahaar guzare 
behti hui ye nadiya, ghulte huye kinare 
koi to paar utre koi to paar guzare 
tune bhi hum ko dekha hamne bhi tujhko dekha 
tu dil hi har guzara ham jaan har guzare

AANKHEN BHEEG JATI HAIN

SAMANDAR MEIN UTARTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TERI AANKHON KO PADHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
TUMHARA NAAM LIKHNE KI
IJAAZAT CHHIN GAYI JAB SE
KOI BHI LAFZ LIKHTAA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN
MAIN SAARA DIN WAISE TO BAHUT
MASHROOF REHTA HOON MAGAR JYON HI
KADAM CHAUKHAT PE RAKHTA HOON
TO AANKHEN BHEEG JATI HAIN

DASTANE LOVE-10


E KHAT
In weeraan baagon me phir bahaar bhar de
Mere dil ki khushiyaan tu naam unke kar de
Main zindagi bhar tere qadmon me sajda karunga
Aye khat tu mujh pe ye ehsaan kar de
Subeh hote hi tu paas unke jaana
Wo so rahe hon to unhen mat jagaana
Os ki ek boond unpe girne na paaye
Sooraj ki kiran bhi unhe na jagaaye
Tu khaamosh rehna kahin kuch na kehna
Tu wahin baith kar bas unka intezaar karna
Jo ho sake to bas mera ek kaam kar de
Un pyari aankhon me khuwaab mere bhar de
E khat tu mujhpe ye ehsaan kar de

Bas Tu Hi Tu Nikla

Wo ishq kya ishq jo baad-e-qaza sang-e-lahoo nikla
Ki baad-e-dafn bhi teri tasveer pe rakha hua mera baazoo nikla
Hai ishq is qadar kiya humne ki kya kahiye
Dekh mere lahoo ko dekhiye khanjar se khoon nikla
Jo aaya malq-ul-maut aur poocha kahan hain hum
Main is waqt bhi dekhiye uski tasveer se roo-b-roo nikla
Karna jo chaha dubaara ishq to kar na sake hum
Ki har soorat ke peeche e sanam bas tu hi tu nikla
Wo hasen jo mere naam pe to kuch aur na samjhiye
Unke liye ek aur deewana yun aaya aur yun nikla
Kureda jo dil-e-charasaz to hairaan ho utha
Game-e-ishq me wo mera humshql hu-b-hu nikla
Koi beemaar nahin hum jo charasaz hua kare koi
Unmaad-e-ishq me badbadaana to 'parminder' ka khoo nikla
Is kadar wo yad karte hai hame
Ankho hee ankho me baya karne wale
Dete hai muskrahat ka tohfa,
Kal tak jo bhool baithe the hame
Gaflat me hoo khawab hee lagata hai
Unkaa fir aanaa ek chahat see jagata hai
Jee chata hai thaam loo daaman unka
Par fir us toote hue dil ka khyal ataa hai
Kis kadar wo chahte the hame
Har pal pahloo me rahne wale
Dawaa karte the marham banne ka jo
Wahee jakhm gaharaa de gaye the hame
Wo to bhoola baithe the iskadar hame
Ham hai kee khawabo me unhe hee dekhte hai
Aaj aye hai wo fir ek gujarish ke saath
Kya toote hooe dil ko jod payenge wo??

Dil Hi Kafi Hai

dil hi kafi hai fakat haal pe rone ke liye
aankh ko chhod do neend-bhar sone ke liye
tera saath mujhe de deta khushiyan zamane bher ki
or tera jana kafi hai mujhe rulane ke liye
main hansti hun gam-a daur main bhi
dil ka daria hai gam chupane ke liye
lut gaya dil ka mere sara sukun
khus nahi pass mere ab khone ke liye
ek shana na mila dhoonde se
pal do pal chain se sone ke liye
teer si baat ayee or gyee bhi ho gyee
rehe gya dard palkein bhigone ke liye
daro-deewar hi phir se sahara denge
jab bhi khwahish hui rone ke liye
haas-parminderhaas taane-ulhane ya dard hi
hum hain haazir tera samaan dhone ke liye
jismein sirf main or meri tanhai ho
muntezir hun aese kisi kone ke liye

DILJALA HAI KOI

AANKHON ME ASHQ HAIN DIL ME KHALA HAI KOI
BATLAAO MUKJE YE ISHQ HAI YA BALA HAI KOI
SHOLA-O-AATISH UGALTI YE GOR KISKI HAI
IS PAR KOI BOLA ZAROOR DILJALA HAI KOI
SAAYA KO HUMSAAYA SUKHAN KO HUMSUKHAN KAHAAN
NA GHAM KO HUMGHAM O HUM JAISON KA KHUDA HAI KOI
KUA LIKHUN MAQTOOB ME JAB DIL ME KUCH NAHIN
NA BAAT HAI KOI AUR NA MUDDA HAI KOI
HAI SAANS BHAARI UTHTE HI ZAOF SE NAGAVAAR HUI
TOOFAN-E-DEHER ME CHIRAG-E-ZEEST BHUJA HAI KOI
HO MUQARRAR GHAM-E-DASTAAN KE US TAK PAHUNCHE
DARD EK TEZ RO SE DIL ME UTHA HAI KOI

NA HO -E-KHASTA

BAAD-E-MARG HI SAHI DARD KA KHAATMAN ZAROOR HOGA
IBTIDA HO KOI TO INTIHAAN ZAROOR HOGA
ISHQ KAR TO RAHE HO PAR ITNA SAMAJH TO
AAGE RAH-E-ULFAT ME IMTIHAAN ZAROOR HOGA
SAR FOD NA LUN ISHQ ME AB AUR KYA KAROON
TU HO NA HO TERA SANG-E-AASTAAN ZAROOR HOGA
THAK GAYA DHOONDKAR TUJHE TO HAATH DIL PE RAKH LIYA
KAHIN HO YA NA HO YAHAAN ZAROOR HOGA
TU MERA NAAM BHOOL GAYA HO TO ZARA YAN CHALA AA
MERE GHAR KE BAAHAR MERA BAYAAN ZAROOR HOGA
NA HO parminder-E-KHASTA TO BAAGBAN PE KYA BANE
GUL ZAROOR HOGA GULISTAAN ZAROOR HOGA

AARZOO LEKAR MAR GAYE

AARZOO LEKAR JIYE AARZOO LEKAR MAR GAYE
NA KISI KO APNA SAKE NA KISI KE HOKAR GAYE
ULTI PADI HAR SHAYE DILLAGI HUI DIL KI LAGI
SHIKAAR KARNE KO AAYE THE SHIKAAR HOKAR GAYE
KOI HO TARQEEB-E-VASL HO KOI REHBAR-E-QATRA BADARIYA
JAB KUCH BHI NA HUA TO TERE DAR KO CHUKAR GAYE
EK AJAB HI JAADOO-O-TAAQAT HAI USKE RUKHSAAR ME
RUKH KIYA USNE JIDHAR KO HUM BHI UDHAR GAYE
BEKHAYAAL HO GAYA

ISHQ ME YE KYA HAAL HO GAYA
KEHNA SUNNA BHI MUHAAL HO GAYA
WO MIL GAYA SARE RAAH EK ROZ
DEKHA TO SHARM SE LAAL HO GAYA
KAR GAYE EHED-E-WISAAL EK BAAR
IS BAAT KO ARSAA-O-SAAL HO GAYA
NA UTHA TEG NAFRAT SE ZAALIM
MAIN TERI NAFRAT SE BEHAAL HO GAYA
GOHAR-O-MEHAR-O-MEH KI KYA KAROON KAAMNA
JAB MAIN TERE ZAKHMON SE MAALAAMAAL HO GAYA
GIN GIN KE UNGLIYAN NA THAKIN US BEDARD KI
LO ISHQ ME EK AUR HALAAL HO GAYA
EK NIGAAH-E-AASHNA EK BEQARAAR DIL
DONO ME JHAGDA BEMISAAL HO GAYA
KAL TALAQ DEKHTA THA KHUWAAB LEHRON KE
AAJ WO parminder BEKHAYAAL HO GAYA

Khabar Na Thi

YUN IS TARAH SE JIYE KE KISI KO KHABAR NA THI HAMARI
KHABAR THI JINKO UNHONE KABHI KHABAR NA LI HAMARI

AISE TO BEEMAR BHI NAHIN

MANA HAR DARD-E-DAWA ITNI ASARDAR BHI NAHIN
MAR JAYEN BIN TERE AISE TO BEEMAR BHI NAHIN
DIL HO BEJAAN-O-JUMBISHE-ZABAN BEMAYASSAR
TO PHIR KIS MUNH SE KAHIYE KE TAQATE GUFTAR BHI NAHIN
SUNA HAI SHEHAR ME CHARCHA-E-parminder BHI AB NAHIN HOTA
NAZARBAND-E-GHAM HI SAHI MAGAR BEKAR BHI NAHIN
WO ZAKHMKARI KA HUNAR RAKHTE HAIN E KHUDA
HALAAT-E-BEKASI KAI CHARASAZI-E-ASAAR BHI NAHIN
KIS KIS KI KHOO DALIYEGA E DIL-E-NANDAN
BEWAFAI-O-BENIYAZI-O-PHIR SHARMSAAR BHI NAHIN
PAYENGE GHAMKHWARI-E-GHAM-E-DIL SE BHALA KYA FAIZ
RAHA HI NA AAINA TO DARAR BHI NAHIN
KYON KIYA AUR KYA KAREGA SATH MERE WO KHUDA
PAKDOON JO NABZ USKI AISA TO HOSHIYAR BHI NAHIN
KAR LI JO TANHAI SE TAUBA TO WAHAN KE HO LIYE
DEKHA TO YAHAN BHI SANG-E-parminder EK MAZAAR BHI NAHIN

Na De Tamanna

TU EK BAR BULAYE TO SAU BAR CHALA AAUN
JAB EK BAR BHI NA HO TO KAHAN JAUN
KEHTE HAIN WAQT KARTA HAI HAR ZAKHM KA BAKHOOBI ILAAJ
PAR TUMHI KAHO IS DARD KI MAIN KYA DAWA PAUN
KAFIR SE NAFRAT KARE WAIZ TO SEHEN BHI HO 
KHUDA HI HO DUSHMAN MERA TO BATA KAHAN JAUN
NA DE TAMANNA KOI YE WAJAH HAI DOOB JANE KI
GAR TAMANNA BHI DE TO NA IZHAR KI ZABAN PAUN
AE BERAHAM TERE DAR SE JAB HAME NIKALA GAYA
HERAN SOCHTA HOON KISMAT AB APNI KAHAN AZMAUN

Jeen Wala Koi Nahin

zakham dite ishq ne
seen wala koi nahin
hanju digge naina chon mere
uhna nu peen wala koi nahin
sare dukh pa dite meri jholi rab ne
ih dukhan bhari zindagi jeen wala koi nahin
Tumse Kuch Paya Nahi 

tumse kuch paya nahi to kuch khoya bhi nahi
duniya ki mehfil mein tanha to nahi
band aankho se dekhe manzer
na paane ka gum to nahi
nazaro se ohjhal ho gaye tum
yeh mera khawab to nahi
dastur is duniya ka jo pass hai
wahi apna hai
hum dur to nahi
phir bhi zehan mein ek sawal hai
hum tumhare kyun nahi

Dard-e-dil Mein Kuch To Rahat Hoti

dard-e-dil mein kuch to rahat hoti
zindagi ek kalpana hai
kuch to jhalak milti
rangeen khwaboo mein parchai si dikhti hai
us parchai ki aahat to suni hoti
waqt ke saath hum sab badale hai
us waqt ki parwa to ki hoti
mere gum meri khusi se khusnaseeb hai
ghamo ne aansuo ki kadar ki hai
bus tanhai saath hai
har waqt yahi itefak hai

Humne Har Daur Mein

Humne har daur mein zillat sahi hai lekin
Humne har daur ke chehre ko ziyaa bakhshi hai 
humne har daur mein mehnat ke sitam jehle hain
Humne har daur ke haathon ko hina bakhshi hai

TUTA DIL

DIL TUTTA HAI AANKH BHAR JATI HAI
KUCH PAL KE LIYE JAISE ZINDAGI RUK JATI HAI
PEHLE WADA KARTE HAI ZINDAGI BAN KE REHENGE
PHIR NA JANE KYON YEH ZINDAGI SATH CHHOD JATI HAI

MEHFIL ME TANHA

MEHFIL SAJI THI, JAM KA THA DAUR
JAAM KYA THA YE KISNE KIYA THA GAUR
JAM MEIN LAHU THA MERE ARMANO KA
AUR SAB KEH RAHE THE EK AUR !! EK AUR!!
MERA DIL 

HAI KUCH KEHNA CHAHTA MERA DIL AAJ CHEEKH CHEEKH KE,
ALFAAZON KO DHOONDATA HAI YEH PAGAL REH REH KE,
PAR DARTA HUN KAHIN JAKHM PHIR SE HARE NA HO JAYE,
PEHLE HI YE KAMBAKHT BHARE HAI BADE MUSHKIL SE.

CHAND DINO KA SAATH

TAB KHAYAL AAYA KI CHAND DINO KA SAATH HI TO AB BAKI HAI
PHIR UNHE BHI JUDAI KA GHAM SEHNA HOGA
UNKI PALKON SE GIRENGE AANSU HAMARI YAAD MEIN
ISSE BEHTAR TO HAMARA CHUP HI REHNA HOGA

Raaz Ki Baat...

YUN NA HAR BAAT YARO SE PUCHO
JO BAAT RAAZ KI HO ISHARO SE POOCHO
LEHRO SE KHELNA TO SAMUNDER KA KHEL HAI
LAGTI HAI CHOT KAISE KINARO SE PUCHO

TERA GUM

LAMHA LAMHA TERA GUM MAGAR SEENE KI TAMANNA AUR BHI HAI
KATRA KATRA YE SHARAAB MAGAR PEENE KI TAMANNA AUR BHI HAI
WO NA MILI TO KYA HUA, KHUD KUSHI JAAYAZ NAHIN
TANHA TANHA YE ZINDAGI MAGAR JEENE KI TAMANNA AUR BHI HAI

Tanha Shaam

PHIR KISI SHAAM NE MERI RAAT KO TOHFA DIYA,
PHIR KISI BARSAAT NE MERE JISM KO SAHLA DIYA,
MAIN SAMJHA THA MAUT MERE ISHQ KI HO CHUKI KAB KI MAGAR,
PHIR KISI HUSN NE MERE ISHQ KO ZINDA KIYA
ISHQ KA GUNAAH KAR IK AAG ME JALTE RAHE
TADAP TADAP KE RIMJHIM BARSAAT ME JALTE RAHE
IS AAG PE KAABOO KIYA, KUCH WAQT GAWAAYA TO HOGA
PHIR KISI CHINGAARI NE IS AAG KO BHADKAA DIYA
MAIN SAMJHA THA MAUT MERE ISHQ KI HO CHUKI KAB KI MAGAR
PHIR KISI HUSN NE MERE ISHQ KO ZINDA KIYA.
Zindagi 

Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin

Thoda Sa Bhi Pyaar Ho To

kash ke dil yu udas na hota 
tumse mil kar yaado mein giraftar na hota
dil mein itna humare pyaar na hota
tumhare liye mann bekrar na hota
tumhae jane ka koyi gam nahi hai
pyaar diya tumne jitna woh kam nahi hai
na jane ankhein kyun nam hain meri
rokna chahoo bhi kud ko rok nahi pati
chehra tumara ankhon mein rehta hai har dam
naam labo par or kehti hai dhadkan
tumara humara kaisa hai bandhan
ajnabi ho tum phir kyun lagte ho mere humdam
na mil kar bhi tumse mil chuki hoon
aisa lagta hai barson se tumhe janti hoon
saath ho kar bhi sabke main tanha hoon rehti
apne mann ki baat kesi se bhi nahi kehti
padh kar khat mera rooth na jana
agar thoda sa bhi pyaar ho to laut tum aana

Aks Mera

Keh Diti Gal Dil Di Ik Anjane Shakhs Nu
De Dita Dhokha Mere Hi Aks Nu
Kehnda Reha Aks Mera Tu Na La Yaari
Eh Ishq Hai Duniya Di Sab Ton Buri Bimari

Apne Hisse Ki Jindagi

Apne Hisse Ki Jindagi To Hum Bahut Jee Chuke
Ab To Bas Dhadkano Ka Lihaaj Karta Hai
Khafa hai in duniya walon se
Jo aakhari saans pe bhi aitraj karta hai
Mere tute hue dil ko koi shayari kahe to koi gam nahi
Dard to tab hota hai Jab koi wah wah karta hai

Jawab

Ab zindgi bhar humko yeh malal rahega
Sote Jagte dil ko yeh khayal rahega
Kya kabhi pyar hume kiya tha tumne
Chehro par apne yeh sawal rahega
Ik Kafan Hi Mere Saath Jaayega
Waqt na jaane zamane ko kahan le jaega
hum to ruk jaaenge lekin waqt chalta jayega
kaun chalta hai sada sung karwan e waqt ke
har musafir thak ke koi rah pe ruk jayega
zindagi wo khawab hai tootega jab uth jaaenge
mout ki aaghosh mein jab har bashar so jayega
kya mohabbat kya khushi kya dosti kya dushmani
waqt ka sab khel hai aur sab khatm ho jayega
sochta hoon main janaza dekh ker jaate hue
ik kafan hi hai mera jo saath mere jaayega

Farq Srif Itna Sa Hai 

farq srif itna sa hai teri doli uthi meri mayat uthi
phool tujh par bhi the phool mujhe par bhi the 
tu saj kar gayi mujhe sajaya gaya 
tu bhi ghar ko chali main bhi ghar ko chala
tu uth kar gayi mujhe uthaya gaya
sakhiyaan teri bhi thi dost mere bhi the 
mhefil wahan bhi lagi thi log yahan bhi the
unka hasna wahan inka rona yahan
qazi udhar bhi tha imam idhar bhi tha 
do bol tere padaye do bol mere padaye 
tera nikkah padha mera janaza padha 
tujhe apnaya gaya mujhe dafnaya gaya

Gam Ki Shaam

ishq ko bohat badnaam likha
waqt ko hum ne gulam likha
reth par tera naam likh kar
apni mohabbat ka anjam likha
naino mein ek deep jala kar
is ko chiraag be naam likha
is nazam ko maine apni
anwah gam ki shaam likha

Dil Ke Toofaan

Aankhein Hai Meri Weeran,
Dil Mein Uthe Toofan,
Sapno Mein Aake,
Mere Dil Mein Samake,
Mere Piya Ban Gaye Anjaan,
Ye Hawayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,
Chaya Kaisa Andhera,
Tu Jo Na Hua Mera,
Dekh Akeli Mujhe,
Dhundti Hawaon Mein,
Badalone Hai Ghera,
Ye Ghatayein Kyon Satayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,
Rimjhim Rimjhim Barse Sawan,
Aaya Kaisa Ye Mausam,
Kajra Bhi Beh Gaya,
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man,
Ye Fizayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein.

Teri Yaad Aayi Hai

Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,
Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jana,
Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Be-Khudi Se Dekhte Jaana,
Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Rehke Tere Sath Ka Sochun,
Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jinse Dard Hota Hai,
Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,
To Tay Paya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,
Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai.

DASTANE LOVE-9


Aadat

Unhe aadat hai zakhm dene ki
Apni to fitrat hai gam chhupane ki
Aadat si pad gayi hai aansuon ko pee jane ki
Kya haseen saza di hai zalim ne dil lagaane ki

Tumse Hi

Itni choti si umar mein
itna kuch sehna
kabhi socha na tha
tera mera sath chhoot jaega
kabhi socha na tha
meri har saans tera naam leti hai
mere jab hont khulte hain to ek hi naam lete hain
jab kisi ke baare mein sochti hun
to sirf tumare baare mein sochti hun
jab kisi ka naam lena chahti hun
to honthon par tumara naam ata hai
mera dil dharkta hai, sab ki tarah
par dhak dhak nahi karta
wo tumara naam leta hai
jab muskurati hun
to tuje yaad karke muskurati hun
jab roti hun
to tuje yaad karke roti hun
Meri har baat tumse judi hai
tujhe bina soche main kuch nahi karti
                                 VAFAYON KA SILA
MUJHE MERI VAFAYON KA YE SILA MILA
KOI DO TO KOI CHAR KADAM SAATH CHALA
DUNIYA KE IS BHANVAR ME AE DOST AB
NAA HI NAAV MILI NAA HI SAHIL MILA

MEHFIL MEIN

MEHFIL MEIN JO LADKHDAYA KADAM
TO LOGO NE KAHA MAYE PEE HAI
JANE DO YARO UNHE KAYA PATA
HUME KIS SHAYE NE SHAYE DI HAI

Jaan Tere Naam
CHAND KI ROSHINI APKI HO JAYE
CHUPKE SE AAP KO HAWA KUCHH KEH JAYE
KHUDA SE JO CHAHE MANGLO
HUM BHI DUA KARENGE KE
AAP KI HAR DUA PURI HO JAYE

Aansoo

aansoo bahut the aankhon mein bahaane ke liye
par ghum itnay milay zindage mein ke wo khushk ho gaye

Bana Na Sake

hum haq wafa ka nibha na sake
unke dil mein jagah bana na sake
ki bahut koshish lekin
unke dil mein thodi si bhi jagah bana na sake
Pyar Ki Kadar

behte ashkon ki zuban nahi hoti
lafzon mein mohabbat bayaan nahi hoti
mile jo pyar to kadar karna
kismat har kisi par maherban nahi hoti

Muskurahat

yun to zindagi me ajeeb se mod aynege
kabhi khushi to kabhi gam layenge
rakhna hamesha khud ka khayaal
kyoki aap hasenge to hum bhi muskurayenge

Aisa Hota Nahi
Har jagah pyaar ka jharnaa behtaa nahi hai
Patharon ko kabhi dard hota nahi hai
Yaadon ke bina kabhi ek pal beettaa nahi hai
Phir bhi kabhi koi paas hotaa nahi hai
Kitne jatan se rakhte hain kaante phoolon ko
Aor phool bante hain kisi aor ke gale ka haar
Phir bhi kaanton ka dil kabhi udaas hota nahi hai
Har sur-taal pe jhumne ko dehkte hai sapane
Phir bhi 'Radhaa- parminderan' jaisa raas hota nahi hai
Log kehate hain ke bhool gaye hain sabkuch
phir bhi mere kaano ko yakeen hota nahi hai


Aur Kya Dete

tumhien bakhash di dil pe hukmarani aor kya dete
yehi thi bus hamari raj dhani or kya dete
sitaron se kisi ki mang bharna ek fasana hai
tumhare naam likh di zindgani or kya dete
bichadte waqt usko ek tohfa dena tha
hamare pass tha ankhon mein pani or kya dete
AGAR MOHABBAT NA HOTI

shararat na hoti shikayat na hoti
nayano me kisi ke nazakat na hoti
na hoti bekarari na hote hum tanha
jo jahan me kambakht mahobat na hoti
na hote ye sapne ye khwabo ki duniya
kisi ko chahat ki tamanna na hoti
na zulfo ki chhaya na phoolo ki khushboo
yado me unki yu rate na katti
jo na hoti mahobat ye ansu na hote
dil bhi na khota aaj tanha na rota
majnu si apani ye halat na hoti
jo jaha me kambakht mahobbat na hoti

Har Aina

Har aina tuta sa lage hai
Har sach jhuta sa lage hai
Ye hum kaha aa gaye hai
jaha har koi rutha sa lage hai

Naya Phir Ek

naya phir ek jakhm khana chahta hu
main jine ka ek bahana chahta hu 
rula deti hai har sachi kahani meri 
main fir ek jootha fasana chahta hu

Peene Ka Hosh Nahi

raat chup hai magar chand khamosh nahi
kaise kahu aaj phir hosh nahi
aise dube hai unki yaado me
ki haath me jaam hai par peene ka hosh nahi

Muh Mod Ke Roye

wo roye to bahut par mujhse muh mod ke roye
bade majbur hai shayad wo jo dil tod ke roye
mere saamne karke meri tasveer ke tukde
pata laga baad me uneh hi jod ke roye
ankho me aansu ki chamak aaj bhi hai
usko mere pyar ki tadap aaj bhi hai
naav me baith kar dhoye the haath usne
samadar me mehendi ki mehak aaj bhi hai

TUTE HUE PAIMANE

TUTE HUE PAIMANE ME KABHI JAAM NAHI AATA
ISHQ KARNE WALO KO KABHI AARAM NAHI AATA.
YEH TO EK KHUDAI HAI, JO UMAR BHAR KARNI HAI
ISHQ KI RAH ME KABHI KOI MUKAM NAHI AATA

DARD-E-DIL

AAJ PEENE PILANE KI BAAT RAHNE DE SAKII
AAJ TO HUM DARD-E-DIL SUNANE AAYE HAIN
HUMNE EK DARD PAYA TO MAIKHANE AA GAYE
TU YAHI REHTI HAI BATA KITNE DARD PAYE HAIN

Dar Lagta Hai

Thame huye pani me bhi ab jaane se dar lagta hai
Khule aasmaan me bhi jaane se dar lagta hai
Kabhi sunate the yaron ko ham bhi kisse mohabbat ke
Ab to Ishq ke dhai akshar gungunane se dar lagta hai

Hum Kiske Sahare Jiye

kuch to jite hai janant ki tamanna lekar
kuch tamanaye jina sikha deti hai 
ham kiske sahare jiye
zindgi roj ek tamnna badha deti hai
Kiski Najar Me Hu

mitti ka jism leke pani ke ghar me hu 
manjil hai maut meri
main har pal safar me hu
hona hai qtal ye malum hai muje
lekin khabar nahi kiski najar me hu

Dosti Bechi

kabhi aansu to kabhi khusi bechi 
hamne akelepan me tanhai bechi 
chand saanse hai kharidne ke liye 
roj marti hui zindagi bechi 
satane lage jab mujhe mere hi saye 
pareshan hoke maine roshani bechi
ek ham hi the jo khud hi bik gaye
varna logo ne to zindagi bechi

Saath Nibhana Nahin Aata

Na jaane kyun hamein aansu bahana nahi aata
na jane kyun hale-e-dil batana nahi aata
kyun saathi bichhad jate hain hamse
shayad hamein hi saath nibhana nahi aata

Dard

kyu rakhu ab apni kalam me sayahi
jab arman koi dil me machalta hi nahi
na jane kyu sabhi shaq karte hai mujhpe
jab koi sukha phul meri kitab me milta hi nahi
kashish to bahut thi mere pyar me magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi
agar khuda mila to usse apna yaar mangunga
magar suna hai wo kisi se milta hi nahi

Kabhi Usse Bhi

Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi
Karoge Fariyaad

Kroge fariyad guzre zamane ko
tarsoge hamara saath ek pal bitane ko
phir awaaz doge hamein aane ko
hum kahenge darwaja nahin hai kabar se bahar aane ko

Na Bite Din Na Gujari Raat
Na Bite Din Na Gujari Raat
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Jab Aaye Yaad Huyi Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar
Aate Ho Tufa me Baste Ho Tanha Me
Dil Dhundhe Tum Ko Sapno Me
Ise Tod Diya Kise Apno Ne
Na Bite Din Na Gujari Raat 
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Dil To Hai Deewana 
Hai Kya Is Ko Samjhana 
Bhulega Ye Apna Naam
Bas Yaad Rahe Kal Ki Shaam
Na Bite Din Na Gujari Raat 
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Dekha Hamne Sapna
Samjha Sab ko Apna
Ab Puch Raha Hai Veerana
Kya Paaya Ban Ke Deewana 
Na Bite Din Na Gujari Raat 
Ye Kaisa Hai Lamha Saath
Jab Aaye Yaad Huyi Barsat
Kahin Doob Gaya Apna Pyar
                                              
Ab To Tasalli Bhi Bujh Bujh Ke Aane Lagi Hai

ab to tasalli bhi bujh bujh ke aane lagi hai
sardiyan kyun mera daman jalane lagi hai
jis ka asra le kar hum ghar se nikle the
ab usi ki aas kyun dagmagane lagi hai
phoolon ki chaah mein hum kanto se nibhane lage
ab vohi chhah mera khoon jalane lagi hai
zamana to hamesha farak mein raha hai
khush ho jaye ke voh ab ladkhrane lagi hai

Khayaal-e-yaar

Hum the khayaale yaar thaa 
Bas aur kuch na thaa
Ek ujadaa huaa dayaar thaa
Bas aur kuch na thaa
Andaaj gunehgaar thaa
bas aur kuch na tha
Aawaargi pe waar thaa
Bas aur kuch na thaa
Rishta tutne ki kagaar par khadaa thaa
Phir bhi dil kisi aahat ka talbgaar thaa
bas aur kuch na thaa

Nam Palke

ASHKON KO HUMNE KAYI BAAR ROKA
PHIR BHI NA JANE KYON ANKHE DHOKA DE GAYI
BHAROSA TO THA HAME APNE AAP PAR MAGAR
UNKA ZIKR AATE HI NAA JANE KYON PALKE NAM HO GAYI
Har Dil Me Dard Chupa Hota Hai

har dil me dard chupa hota hai
bayan karne ka andaaz juda hota hai
kuch log aansuo me dard ko baha dete hai
aur kisi ka dard hassi me chhupa hota hai

Sharab Ko Tanha Dekha

gum mila iss kadar ki ghabra ke pee gaye
thodhi mili khushi mila ke pee gaye
hum nahi the iss kadar peene ke aadi
sharab ko tanha dekha to taras kha ke pee gaye

Duniya Walo Ne Hame

samjha na koi dil ki baat ko
dard duniya ne bin samjhe hi de diya
seh gaye jo hum dard ko chupke se
to duniya walo ne hame pathar dil keh diya

Kafan

hum tume milte the badi fursat ke sath
tum hume milte the badi ulfat ke sath
tume fursat bhi jab mili
jab hum janaje pe the kafan ke saath

Duniya Me Sab Begane Hai

duniya me sab begane hai
jinhe hum chahte hai wo
vo auro ke deewane hai
guzre kal ki yahi kahani hai
kuch khud barbaad hue kuch unki mehrbaani hai
Isse Zada Hum Unka Intzaar Kya Kare

zakham kitne gahre hai izhaar kya kare
ham khud nishana ban gaye vaar kya kare
mar gaye hum aur khuli rahe gayi aankhe
isse zada ham unka intzaar kya kare

EK YE GHAM-E-HASTI

Tere kooche ko gaya jo dekh ke basti weeraan apni
Dekha to na tu wahaan apni na tu yahaan apni
Bik gaye dar-o-deewar par haansil na hue tum
Kya keeje jo itni bhi keemat ki nahin jaan apni
Aur nahin koi na kisi se ikhtilaat apna
Ek ye gham-e-hasti ek ye daastaan apni

Dhoondta Hai Ye Lahoo Kisko

Gar hua khaak me ghar to ye gam-e-hasti main doon kisko
Saaqi ko ke sharab ko dua se nawazoon kisko
Wo karte hain ikhtal-e-gair to chalo yun hi sahi
Wo vasl-e-badgumani wo khuwab-e-khoo kisko
Dosh pe gam-e-ulfat-o-dast me mauj-e-sharab
Gardish-e-hasti-e-parminder to zindagi ki arzoo kisko
Gar hua ghar jo gark-e-dayera to kya rahega isme
Tapkta hai jo dar-o-deewar se dhoondta hai ye lahoo kisko
Dekhkar bhi na dekha kiye to kya kahiye
Phir tum hi kaho wisaal-e-yaar-e-justujoo kisko
Hoti thi kisi daur me par ab nahin hoti
Jazba-e-hasrat-e-deedar-e-yaar-e-koo kisko