Pages

Wednesday, December 5, 2012

Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota


Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaar Hota ?
Ager Or Jeete Rehte Tu Yehi Intazar Hota,
Kahoon KissSe
 Main K Kia Hai,
Shab-E-Ghum Bori Bala Hai,
Mujhe Kia Bora Tha Marna,
Ager Aek Baar Hota,
Yeh Na Thi Humari Kismat K Wisaal-E-Yaa Hota ..
Koei Mere Dil Se Poche,
Tere Teer Neem Kash Ko,
Yeh Khalish Kahan Se Hoti,
Ju Jiger K Paar Hota,
Tere Wade Per Jiye Hum,
Tu Yeh Jaan Jhot Jana,
K Khoshi Se Mar Na Jate Ager Etbaar Hota,
Yeh Na Thi Humri Kissmat K Wisaal-E- Yaar Hota
Yeh Kahan Ki Dosti Hai.
K Bane Hain DostSaqi.
Koi Chehra Saaz Hota.
Tu Yeh Na Ghumm Saath Hota.


Ro Ro Ke SuNaaYa Tha



Ro Ro Ke SuNaaYa ThaW Jin kO Apna Haal-e-D!L.-
Hans Hans Ke Meri Wafa Ki wOhi tOheen Kar Gaye….!!

Do pyase dil aik huwe hain aise


Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise
Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise
Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise
Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera
Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise
Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen
 zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye
Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar
 kuch 
na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise

Kul Raat Janai Kya Hova

Rooh ki zameenOon paR

Rooh ki zameenOon paR aik aJeeb aalUm hay
Dard aUr
 Tamanna main Fasla nahi Milta….!!
SougawaR loGoon ki,Bayqa Raar loGoon ki…!!
Zindagi main kOi bhi ZaBta nahi milta…

Faiz's Poetry


dono jahan teri mohabbat main har k
wo ja raha hai koi shab-e-gam guzar k
viran hai maikada khum-o-sagar udas hai
tum kya gaye k ruth gaye din bahar k
ik fursat-e-gunah mili, wo bhi char din
dekhe hain ham ne hausale parvar-digar k
duniya ne teri yad se begana kar diya
tujh se bhi dil fareb hain gam rozagar k
bhule se muskura to diye the wo aj ‘Faiz’
mat puch val-vale dil-e-na-kardakar k

dil main ab yun tere bhule huye gam ate hain
jaise bichre huye kabe main sanam ate hain
ik ik kar k huye jate hain tare raushan
meri manzil k taraf tere qadam ate hain
raqs-e-may tez karo, saz k lay tez karo
su-e-maikhana safiran-e-haram ate hain
kuch hamin ko nahin ehsan uthane ka dimag
wo to jab ate hain mail-ba-karam ate hain
aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yad bhi kam ate hain

dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain
teri avaz k saye tere honthon k sarab
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
apni khushbu main sulagti hui madham madham
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
yun 
guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat



chand roz aur meri jan faqat chand hi roz
zulm k chanw main dam lene par majbur hain ham
ik zara aur sitam sah len tarap len ro len
apne ajdad ki miras hai mazur hain ham
jism par qaid hai jazbat pe zanjire hai
fikr mahbus hai guftar pe taziren hain
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jate hain
zindagi kya kisi muflis k qaba hai
jis main har ghari dard k paiband lage jate hain
lekin ab zulm k miyad k din thore hain
ik zara sabr k fariyad k thore hain
arsa-e-dahar k jhulsi hui wirani main
ham ko rahna hai par yun hi to nahin rahna hai
ajnabi hathon ka benam garan-bar sitam
aj sahna hai hamesha to nahin sahna hai
ye teri husn se lipti hui alam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumar
chandani raton ka bekar dahakta hua dard
dil k besud tarap jism ki mayus pukar
chand roz aur meri jan faqat chand hi roz

chand nikle kisi janib teri zebai ka
rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka
daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-shirin-dahan
aj riza ho koi harf shanasai ka
dida-o-dil ko sambhalo k sar-e-sham-e-firaq
saz-o-saman baham puhuncha hai ruswai ka

buhat mila na mila zindagi se gam kya hai
mata-e-dard baham hai to besh-o-kam kya hai
ham ek umr se waqif hain ab na samjhao
k lutf kya hai mere meharban sitam kya hai
kare na jag main alaw to sher kis maqsad
kare na shahar main jal-thal to chashm-e-nam kya hai
ajal k hath koi a raha hai parwana
na jane aj k fehrist main raqam kya hai
sajao bazm gazal gao jam taza karo
buhat sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
lihaz main koi kuch dur sath chalta hai
wagarna dahar main ab khizr ka bharam kya hai


bol k lab azad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawan jism hai tera
bol k jan ab tak teri hai
dekh k ahangar k dukan main
tund hain shole surkh hai ahan
khulne lage quflon k dhane
phaila har ek zanjir ka daman
bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban k maut se pahle
bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kahna hai kah le



bahar ai to jaise ek bar
laut aye hain phir adam se
vo khvab sare, shabab sare
jo tere honthon pe mar mite the
jo mit k har bar phir jiye the
nikhar gaye hain gulab sare
jo teri yadon se mushkbu hain
jo tere ushshaq ka lahu hain
ubal pare hain azab sare
malal-e-ahaal-e-dostan bhi
khumar-e-agosh-e-mahavashan bhi
gubar-e-khatir k bab sare
tere hamare
saval sare, javab sare
bahar ai to khul gaye hain
naye sire se hisab sare

aye kuch abr kuch sharab aye
us k bad aye jo azab aye
bam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi main aftab aye
har rag-e-khun main phir charagan ho
samne phir wo benaqab aye
umr k har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa k bab aye
kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
aj tum yad behisab aye
na gai tere gam ki sardari
dil main yun roz inqalab aye
jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
jab bhi ham khanamankharab aye
is tarah apni khamashi gunji
goya har simt se jawab aye
‘Faiz’ thi rah sar basar manzil
ham jahan pahunche kamayab aye
                                                    
aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-
mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye

ab wahi harf-e-junun sab k zuban thahri hai
jo bhi chal nikli hai wo bat kahan thahri hai
aj tak shaikh k ikram main jo shay thi haram
ab wahi dushman-e-din rahat-e-jan thahri hai
hai khabar garm k phirta hai gurezan naseh
guftagu aj sar-e-ku-e-butan thahri hai
hai wahi ariz-e-laila wahi shirian ka dahan
nigah-e-shauq ghari bhar ko yahan thahri hai
wasl k shab thi to kis darja subak guzri hai
hijr k shab hai to kya sakht garan guzri hai
bikhri ek bar to hath ai kab mauj-e-shamim
dil se nikli hai to kab lab pe fugan thahri hai
dast-e-sayyad bhi ajiz hai kaf-e-gulchin bhi
bu-e-gul thahri na bul-bul k zaban thahri hai
ate ate yun hi dam bhar ko ruk hogi bahar
jate jate yun hi pal bhar ko 
khizan thahri hai
ham ne jo tarz-e-fugan k hai qafas main ijad
“Faiz” gulshan main wo tarz-e-bayan thahri hai



GALIB



Na Tha kucH to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota
dubooYa mujhKo hoNi ne, na hota maiN to kya hota
hua jub Gam se Yun beHis, to Gum kya sar ke katNe ka
gar juda na hota tan sE, to zannon pur dhara hota
huI muddat ki Ghalib mar gaya, puR yaaD Aata hai
woh har ek baat pe kahena, ki yooN hota to kyA hota


ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai


ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota

Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam ke
ham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ‘Ghalib’ nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke

fir kuchh is dil ko beqaraaree hai
seena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ‘GHalib’
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai….




tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ‘GHalib’ kee aabroo kya hai ?


Har baat par kehte ho tum ke tu kya hai
Tumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
ragon mai daudane ke ham nahi kayal
jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane?
Na tha main to khuda tha,
kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne,
na hota main to kya hota
Kahu kis se ki kya kiya hai
shabe gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna
gar ek baar hota
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
huee muddat ke ?GHalib? mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?


Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai Galib
Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote

her aik bat pe kehtey ho tum k tu kia he
tumhee kaho k ye andaaz-e-guftugoo kia he
jalaa he jism jahan, dil bhi jal gaya ho ga
kureydte ho jo ab raakh, justujoo kia he ?!?!?
ragon me dourrte phirne k hum nahi qayell
jo aankh hi se na tapka to phir lahoo kia he

Peenay dai sharab masjid main baid kay Galib
Ya woh jaga bata jahan KHUDA nehen ha

unke dekhe se jo aa jaatee hai munh par raunaq
woh samajhte hain ke beemaar ka haal achcha ha
Huyi Muddat Ke Ghalib Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Har Ek Baat Pe Kahna Ke Yun Hota To Kya Hota


Go haath mai junbish nahi, aankho mai to dam hai
rehne do abhi saaghar-o-miina MERE aagay
Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hay
Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay
Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Ha



Saray raah jo unsay nazar mili…
To Naksh dil kay ubhar gaye…
Hum nazar mila kar jhijag gaye…
Vo Nazar jhuka kar chale gaye

jab se dekhi hai hamne duniya kareeb se
lagne lage hai saare rishte ajeeb se

a ki meri jan mein qarar nahi hai
taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai
giriya nikle hai teri bazm se mujh ko
haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai
ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir
khak mein ushshaq ki gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haye mani
gair-e-gul aina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to bare
waye! agar ahad ustawar nahi hai
tu ne qasam maikashi ki khai hai ‘Ghalib’
teri qasm ka kuch aitabar nahi hai

ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak
dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak

Unke Dekhne se jo aa jati he muhn per roneq
Woh samajte hain k beemar ka haal acha hai !


aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
“ghalib” bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise



amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost

bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya hai
gulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashani
yaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai

bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane ki
dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko
ap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch
id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat
tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana
lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona
ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba
haye us zodpasheman ka pasheman hona
haif us char girah kapre ki qismat ‘ghalib’
jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona

bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere age
sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere age
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere age
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere age
iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere age
ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere age
khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age
go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere age
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
‘ghalib’ ko bura kyon kaho acha mere age